Meri Maa Lyrics - Taare Zameen Par | Shankar Mahadevan

Meri Maa Lyrics - Taare Zameen Par | Shankar Mahadevan

This song beautifully captures every child’s emotions for their mother, especially when they’re about to leave them for the first time to go someplace else. It’s sung by Shankar, Ehsaan and Loy.

Song Info -
Song - Maa माँ 
Film - Taare Zameen Par
Singer - Shankar Mahadevan
Lyricist - Prasoon Joshi
Music Director - Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Artist - Aamir Khan, Darsheel Safary, Tisca Chopra, Vipin Sharma
Music On - T-Series

Meri Maa Lyrics by Prasoon Joshi

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... Meri maa

Bheed mein yoon na chhodo mujhe
Ghar laut ke bhi aa na paaun Maa

Bhej na itna door mujhko tu
Yaad bhi tujhko aa na paaun Maa
Kya itna bura hoon main Maa
Kya itna bura... meri Maa
Jab bhi kabhi Papa mujhe
Zor zor se jhoola jhulaate hain Maa
Meri nazar dhoondhe tujhe
Sochoon yahi tu aake thamegi Maa

Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jata hoon Maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil mein ghabrata hoon Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... meri Maa

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main Maa
Yoon to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main Maa
Tujhe sab hai pata, hai na Maa
Tujhe sab hai pata... meri Maa

Meri Maa Video Song

Comments